Page 1 of 1

Maine Pucha

Posted: Wed Nov 16, 2016 11:33 am
by shahrukh
Image

Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.

Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.

Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.

Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa…