Page 1 of 1

Zinda Rahen Toh

Posted: Mon Feb 20, 2017 6:17 pm
by neeraj
Image

Zinda rahen to kya hai jo maar jayen hum to kya
duniya main khamoshi se guzar jayen hum to kya....

Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
ek khwab hain jahan main bikhar jayen hum to kya...

Ab kaun muntazir hai humare liye wahan
sham aa gai hai laut ke ghar jayen hum to kya...

Dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gam ke par utar jayen ham to kya...